sab log liye sang-e-malaamat nikal aaye
sab log liye sang-e-malaamat nikal aaye
kis shahar me.n ham ahal-e-muhabbat nikal aaye
ab dil kii tamannaa hai to ai kaash yahii ho
aa.Nsuu kii jagah aa.Nkh se hasarat nikal aaye
har ghar kaa diyaa gul na karo tum ke na jaane
kis baam se Khurashiid-e-qayaamat nikal aaye
jo dar_paa-e-pindaar hai.n un qatl_gaho.n se
jaa.N deke bhii samajho ke salaamat nikal aaye
ai ham_nafaso.n kuchh to kaho ahad-e-sitam kii
ik harf se mumkin hai hikaayat nikal aaye
yaaro mujhe masaluub karo tum ke mere baad
shaayad ke tumhaaraa qad-o-qaamat nikal aaye
*Is duniya me kon karey ga wafa kisi se ay "Faraz"
Dil k do harf hain or who b juda juda...
*Apni manzil pey ponchna kisi Moojze se kum nahi Faraz,
Rah_Guzar Pathar ka Hai Aur Humsafar Sheeshey ka....!!!
*Raz e dil na sunana kisi ko Faraz~
Dunya mai sab hamraz badal jate hein,
Kisi k bicharne se koi mar to nai jata
Han magar jeene k andaz badal jate hein
*Kisi Ki yaad ne zakhamon se bhar diya seena "FARAAZ".....!
~^~ ~^~ ~^~
Har aik saans pay shak hai K yeh aakhari hogi.
*Kiya Ajab Ehtisab apna tha
Jaan apni azab apna tha
Kuch mile log bhi zamanay saaz
kuch muqader kharab apna tha
ye k mukhlis thy hum Mohabbat mein
Jurm bas ye janab apna tha
Ab kya karna us shakhs sy gila kar k
FARAZ
Wo bhi to intikhab apna tha.
*kaisy ajeeb log han tere sheher mei """"Faraz"""" shoq-e-mohabat to rakhty han, magr baat nai krty..
*Itna tasalsul to meri sanson me bhi nahi "FaRaZ",,,
~
~
~
Jis ravani se wo shakhs mujhay yaad aata hai.,.
*~ EHSAAS k ANDAAZ badal jaatay hain . . .
" FARAAZ "
Warna ' AANCHAL ' bhi usi DHAAGAY se banta hai
' KAFAN ' bhi
*Wo likhte hain hamara naam mti pe aur mita dete hain faraz
un k liye ye khel ho ga par hmain to wo mti mein mila dete hain.
* Nigahein us per Parti hein jiss sy kuch Taaluk ho "FARAZ"...
Her Shakhas ko Mohabbat ki Nazar sy dekha nahi jata.
Saturday, June 20, 2009
Ahmed Faraz
2:32 PM
Developers Web
0 comments:
Post a Comment